Piya
Pyar wo khoobsurat ehsaas hai jise kewal tabhi mahsoos kiya ja sakta hai jab aap khud uski giraft mein hote hain aur ek baar jab is pyaar mein doob jaate hain to phir beech mein aane wali har rukavat se ladne ki himmat na jaane kisi ghutti ki tarah humaare sharer mein pravesh kar jaati hai. Is pyaar ko mukammal banaane ka kaam wo jagahein karti hain jahan ye premi chhupte-chhupate milte hain aur inhein hi kaha gaya hai "Piya Milan Chauk". Is shrinkhla ki har kahani aise hi piya milan chaukon ke baare mein batati hai. Is shrinkhala ki kahaniyon mein kahin na kahin aapko apni kahani bhi mil jaegi aur aap inse judate chale jaaenge.
piya
041b061a72